Mangal Mai Bhya Mochini
Durga Sukh Ki Khaan
Jiske Charno Ki Sudha
Swayam Piye Bhagwaan
Dukh Naasak Sanjeevani
Nav Durga Ka Paath
Jisse Banta Bhiksu Kabhi
Duniya Ka Samraat
Amba Divya Swarupini
Kaaye So Prakaas
Prithvi Jisse Jyotirmay
Ujawal Hai Aakash….
Durga Param Sanaatni
Jag Ke Seer Jan Haar
Aadi Bhawaani Maha Devi
Sristi Ka Aadhaar
Sad Maarg Pradarsini
Nyaan Ka Ye Updesh
Mann Se Karta Jo Manan
Uske Kate Kaless
Jo Bhi Vipatti Kaal Mein
Kare Ri Durga Jaap,
Puran Ho Man Kaamna
Bhaage Dukh Santaap
Utpan Karta Visv Ki
Shakti Aprampaar,
Iska Archan Jo Kare
Bhav Se Utre Paar….
Durga Sok Vinaasini
Mamta Ka Hai Roop
Sati Saatvi Satvanti
Sukh Ke Kalaa Anup….
Vishnu Brahma Rudra Bhi
Durga Ke Hai Adheen,
Laakh Choraasi Oniyaan
Se Ye Mukti De,
Durga Durgati Naasini
Shiv Vaahini Sukhkaar
Ved Mata Ye Gaayatri,
Sabke Paalan Haar….
Maha Gouri Vardaayini
Maiiya Dukh Nidaar
Sankat Harni Bhagwati
Ki Tu Maala Pher
Chinta Sakal Mitayegi
Ghadi Lage Na Der
Sona Lohe Ko Kare
Adbut Koutak Dek
Kiske Vandan Bhajan Se
Paapo Ka Ho Ant
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
Bhaye Ke Sarp Ko Maarne Waali
Bhav Needhi Se Jag Taarne Waali
Atyaachar Paakhand Ki Damni
Ved Purano Ki Ye Janani
Detya Hi Abhimaan Ke Maare
Deen Heen Ke Kaaj Sanwaare
Ichchit Var Pradaan Hai Karti
Har Muskil Aasan Hai Karti
Kare Asambhav Ko Ye Sambhav
Dhan Dhaanye Or Deti Veybhav
Maha Siddhi Maha Yogini Mata
Mahisa Sur Ki Mardini Mata
Puri Kare Har Mann Ki Aasa
Jag Hai Iska Khel Tamaasa
Jai Durga Jai Jai Damyanti
Jeevan Dayini Ye Hi Jayanti
Ye Hi Saavitri Ye Koukaari
Maha Vidya Ye Karo Upkaari
Siddh Manorath Sabke Karti
Bhakt Jano Ke Sankat Harti
Vis Ko Amrit Karti Pal Mein
Yehi Teiraati Patthar Jal Mein
Iski Karuna Jab Hai Hoti
Maati Ka Kan Banta Moti
Patjhad Mein Ye Phool Khilaave
Andhiyaare Mein Jyot Jalaave
Vedon Mein Varnit Mahima Iski
Aisi Sobha Or Hai Kiski
Ye Narayani Ye Hi Jwaala
Japiye Iske Naam Ki Mala
Ye Hi Hai Sukeshwari Mata
Iska Vandan Kare Vidhaata
Pag Pankaj Ki Dhuli Chandan
Iska Dev Kare Abhinandan
Jagdamba Jagdiswari
Durga Dayaa Nidhaan
Iski Karuna Se Bane
Nirdhan Bhi Dhanwaan
Siddhi Daati Aadi Bhawaani
Isko Sewat Hai Brahm Gyaani
Jis Par Hove Anugrah Iska
Kabhi Amangal Ho Na Uska
Rayi Ye Hi Parwat Karti,
Gaagar Mein Hai Saagar Bharti
Iske Kabze Jag Ka Sab Hai,
Shakti Ke Bin Shiv Bhi Sav Hai
Shakti Hi Hain Shiv Ki Maya,
Shakti Ne Brahmmad Rachaaya
Is Sakti Ka Saadhak Banna,
Nisthawaan Upaasak Banna
Puspaanda Bhi Naam Hai Iska
Kan Kan Mein Hai Ghaam Iska….
Durga Maa Prakaas Swaroopa
Jap Tap Gyaan Tapasya Roopa
Mann Mein Jot Jalaa Lo Iski
Saachi Lagan Lagaa Lo Iski
Kaal Raatri Ye Maha Maya
Shridhar Ke Seer Iski Chaaya
Iski Mamta Paawan Jhula
Jisko Dhyaanu Bhakt Na Bhula
Iska Chintan Chinta Harta,
Bhakto Ke Bhandaar Hai Bharta
Chandra Ghanta Ka Tyaa Aayni
Maha Dayaalu Maa Shiwani
Iski Bhakti Kast Niwaare,
Bhav Sindhu Se Paar Utaare
Agmanant Agochar Maiiya,
Sheetal Madhukar Iski Chaiiya
Sristi Ka Hai Mul Bhawaani
Ise Kabhi Na Bhulo Praani
Durga Maa Prakaas Swaroopa
Jap Tap Gyaan Tapsya Roopa
Mann Mein Jot Jalaa Lo Iski
Saachi Lagan Lagaa Lo Iski